Young Stunners & Faisal Kapadia Phir Milenge Lyrics - Phir Milenge song sang by Talha Anjum, Talhah Yunus & Faisal Kapadia. Phir Milenge song lyrics written by Adnan Dhool, Faisal Kapadia, Talha Anjum, Talhah Yunus and Produced by Xulfi. The song was released on 22 March, 2022.
Phir Milenge Lyrics
[Faisal Kapadia:]
Dil key kise
Kone mein he
Yaadein teri, maine
Chhupa rakhi hai
Chhupa rakhi hai
Bhoola nahi
Tu bhi mujhey
Baatein yun he, maine
Bana rakhi hai
Bana rakhi hai
[Talha Yunus:]
Samaya tha dil mein woh aisey
Anjane doh miltay phir kaisey
Tum baarish mein bheegey hum behtay
Samandar kinarey jo rehtay
Umeedain laga key woh beithay
Jo apno kay gham woh bhi sehtay
Yeh duniya toh chahti key behkain
Yeh baagh ise khushboo se mehkain
[Talha Anjum:]
Mile dard bohot
Kabhi tu bhi mil
Dil mein rehti nae
Jaan ab tu he dil
Aaj phir aayi na tu
Intezaar raha mustaqil
Taveel hai gham ki sham
Kahani mohabbat ki mukhtasir
Nazarsani karo zara si
Qadar karo meri qala ki
Jaanay waley chalay jaate hain
Kismat yehi tou qabu main nahi aati
Chhaoon mein dhoop ki tarah
Jism main rooh ki tarah
Guzray dimagh se yaad teri
Lagatar lahu ki tarah
Ab khaye jaayein yе dar-o-dewaar
Mujhe kise bhook ki tarah
Teray bina nahi ghar bhi ghar
Akeley mеhsoos ye kiya
Teri kami puri hue na
Aaj bhi rahi aik dil mein khala
Khiza bhi aayi par
Waqt aur dil ka baagh bhi
Raha na hara
Tera he aitbaar baki saari
Duniya pe bharosa nahi bana
Tu muj main dekhay insaan
Baaki saari duniya ko dikhe bas qalaa
Tu hai
Main hu
Aur gehri khamoshi
Hum dono he nahi suntay
Jo kuch bhi ye kehti hogi
Gali hai dil ki tang
Ab tera uss main aana na ho
Dil key mohalle mein
Ab teray mera jana na ho
Tu hai
Main hu
Aur sirf fasle hai
Raapte munqata aur
Muntazir hum aapke hai
Raaz he nahi raazdaar bhi
Kya maangte hum
Khamiyo pe parde log
Kamhi yahan daaltay hai
Hum sirhanay rakh ke khwaab
Raatein jaagte hai
Hum tumhain tum se bohot behtar jaantay hain
[Faisal Kapadia:]
Sargoshi mein loun
Naam tera
Tere liye, maine
Hayya rakhi hai
Hayya rakhi hai
Bhula nahi
Main bhi tujhey
Mere liye, maine
Sazaa rakhi hai
Sazaa rakhi hai
[Talha Yunus:]
Zindagi pey
Likh chuke hai falsafe
Itni dil lagi kay
Khudko he na paddh saake
Beqadar tu darbadar
Yun bekhabar he chal paddhe
Yaadein kheechti hai
Aage he na baddh saake
Saadhgi ban chuki hai ab aajzee
Muntazer khadday usi mukaam pey
Hum aaj bhi
Aaj phir tu aayi nahi
Aaj phir tu shayari
Aaj phir tu aik gumaan
Yaad teri khayegi
Woh thi meri razaa
Ab duaa ban gayi
Aae mere khuda kya
Sazaa badh gayi
Main jaagun saari raat
Woh subhah ban gayi
Garaj key ab barastay
Ab ye baadal nahi
Tu mere har dard ki dawah
Main dhoop mein khadda
Mehsoos kar zara
Mausam badaltay ve dekhain hain logoun ke badaltay roup ki tarah
Shamil hai ab tere deewana mein
Milengay khwabon mein
Rehtay khayalon mein
Uljeh sawalon mein
Kya tum pehchano gay
Ya phir mehmanoun se kaisey bharosha karain ab insanoun pey?
Tuhe khwaab, tuhe meri khwaish
Tuhe ehsaas
Main bayabaan tu baarish
Milengay phir kabhi
Umeed bhi tu aas bhi
Khuli kitaab kartay
Zakhmon ki numaish
[Faisal Kapadia:]
Khaani kaha
Khatam hoti hai
Poori nahi
Har kasam hoti hai
Phir milengay kabhi
Ajnabi ki tarah
Iss aas ney
Dil mein
Subah rakhi hai
Subah rakhi hai
Subah rakhi hai
Written By: Adnan Dhool, Faisal Kapadia, Talha Anjum & Talhah Yunus
Details About Phir Milenge Song
Song Title: Phir Milenge
Artists: Faisal Kapadia & Young Stunners (Talha Anjum & Talhah Yunus)
Written By: Adnan Dhool, Faisal Kapadia, Talha Anjum & Talhah Yunus
Produced By: Xulfi
Release Date: March 22, 2022
Music Label: Young Stunners
Knowledge & Facts
"Phir Milenge" is nineth track from the EP "A Tale Of Two Talhas" by Pakistani Hip Hop group Young Stunners.
This EP and Tracklist based on Playlist by Young Stunners YouTube Channel
There are total 9 tracks in A Tale Of Two Talhas EP
All Songs From "A Tale Of Two Talhas" EP
1. Jalega
3. Karachi Chal
4. Gumaan
5. Dont Mind
6. Laga Reh
7. Afsanay
8. Why
9. Phir Milenge
0 Comments